Ahmad Faraz

qurbaton mein bhi judai ke zamane mange

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
qurbatoñ meñ bhī judā.ī ke zamāne māñge
dil vo be-mehr ki rone ke bahāne māñge
ham na hote to kisī aur ke charche hote
ḳhilqat-e-shahr to kahne ko fasāne māñge
yahī dil thā ki tarastā thā marāsim ke liye
ab yahī tark-e-ta.alluq ke bahāne māñge
apnā ye haal ki jī haar chuke luT bhī chuke
aur mohabbat vahī andāz purāne māñge
zindagī ham tire dāġhoñ se rahe sharminda
aur tū hai ki sadā ā.īna-ḳhāne māñge
dil kisī haal pe qaane hī nahīñ jān-e-'farāz'
mil ga.e tum bhī to kyā aur na jaane māñge
Top Urdushayar.com