jab har ik shahr balāoñ kā Thikāna ban jaa.e
kyā ḳhabar kaun kahāñ kis kā nishāna ban jaa.e
ishq ḳhud apne raqīboñ ko baham kartā hai
ham jise pyaar kareñ jān-e-zamāna ban jaa.e
itnī shiddat se na mil tū ki judā.ī chāheñ
yahī qurbat tirī duurī kā bahāna ban jaa.e
jo ġhazal aaj tire hijr meñ likkhī hai vo kal
kyā ḳhabar ahl-e-mohabbat kā tarāna ban jaa.e
kartā rahtā huuñ farāham maiñ zar-e-zaḳhm ki yuuñ
shāyad ā.inda zamānoñ kā ḳhazāna ban jaa.e
is se baḌh kar koī in.ām-e-hunar kyā hai 'farāz'
apne hī ahd meñ ik shaḳhs fasāna ban jaa.e