ḳhud ko tire me.aar se ghaT kar nahīñ dekhā
jo chhoḌ gayā us ko palaT kar nahīñ dekhā
merī tarah tū ne shab-e-hijrāñ nahīñ kaaTī
merī tarah is teġh pe kaT kar nahīñ dekhā
tū dashna-e-nafrat hī ko lahrātā rahā hai
tū ne kabhī dushman se lipaT kar nahīñ dekhā
the kūcha-e-jānāñ se pare bhī ka.ī manzar
dil ne kabhī is raah se haT kar nahīñ dekhā
ab yaad nahīñ mujh ko 'farāz' apnā bhī paikar
jis roz se bikhrā huuñ simaT kar nahīñ dekhā