jis samt bhī dekhūñ nazar aatā hai ki tum ho
ai jān-e-jahāñ ye koī tum sā hai ki tum ho
ye ḳhvāb hai ḳhushbū hai ki jhoñkā hai ki pal hai
ye dhund hai bādal hai ki saayā hai ki tum ho
is diid kī saa.at meñ ka.ī rañg haiñ larzāñ
maiñ huuñ ki koī aur hai duniyā hai ki tum ho
dekho ye kisī aur kī āñkheñ haiñ ki merī
dekhūñ ye kisī aur kā chehra hai ki tum ho
ye umr-e-gurezāñ kahīñ Thahre to ye jānūñ
har saañs meñ mujh ko yahī lagtā hai ki tum ho
har bazm meñ mauzū-e-suḳhan dil-zadagāñ kā
ab kaun hai shīrīñ hai ki lailā hai ki tum ho
ik dard kā phailā huā sahrā hai ki maiñ huuñ
ik mauj meñ aayā huā dariyā hai ki tum ho
vo vaqt na aa.e ki dil-e-zār bhī soche
is shahr meñ tanhā koī ham sā hai ki tum ho
ābād ham āshufta-saroñ se nahīñ maqtal
ye rasm abhī shahr meñ zinda hai ki tum ho
ai jān-e-'farāz' itnī bhī taufīq kise thī
ham ko ġham-e-hastī bhī gavārā hai ki tum ho