Ahmad Faraz

na harif-e-jaan na sharik-e-gham shab-e-intizar koi to ho

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
na harīf-e-jāñ na sharīk-e-ġham shab-e-intizār koī to ho
kise bazm-e-shauq meñ laa.eñ ham dil-e-be-qarār koī to ho
kise zindagī hai aziiz ab kise ārzū-e-shab-e-tarab
magar ai nigār-e-vafā talab tirā e'tibār koī to ho
kahīñ tār-e-dāman-e-gul mile to ye maan leñ ki chaman khile
ki nishān fasl-e-bahār kā sar-e-shāḳh-sār koī to ho
ye udaas udaas se baam o dar ye ujaaḌ ujaaḌ sī rah-guzar
chalo ham nahīñ na sahī magar sar-e-kū-e-yār koī to ho
ye sukūn-e-jāñ kī ghaḌī Dhale to charāġh-e-dil hī na bujh chale
vo balā se ho ġham-e-ishq yā ġham-e-rozgār koī to ho
sar-e-maqtal-e-shab-e-ārzū rahe kuchh to ishq kī aabrū
jo nahīñ adū to 'farāz' tū ki nasīb-e-dār koī to ho
Top Urdushayar.com