nazar bujhī to karishme bhī roz-o-shab ke ga.e
ki ab talak nahīñ aa.e haiñ log jab ke ga.e
karegā kaun tirī bevafā.iyoñ kā gila
yahī hai rasm-e-zamāna to ham bhī ab ke ga.e
magar kisī ne hameñ ham-safar nahīñ jaanā
ye aur baat ki ham saath saath sab ke ga.e
ab aa.e ho to yahāñ kyā hai dekhne ke liye
ye shahr kab se hai vīrāñ vo log kab ke ga.e
girafta-dil the magar hausla na haarā thā
girafta-dil meñ magar hausle bhī ab ke ga.e
tum apnī sham-e-tamannā ko ro rahe ho 'farāz'
in āñdhiyoñ meñ to pyāre charāġh sab ke ga.e