Qateel Shifai

raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
raqs karne kā milā hukm jo dariyāoñ meñ
ham ne ḳhush ho ke bhañvar bāñdh liye paañv meñ
un ko bhī hai kisī bhīge hue manzar kī talāsh
buuñd tak bhī na bo sake jo kabhī sahrāoñ meñ
a mire ham-safaro tum bhī thake-hāre ho
dhuup kī tum to milāvaT na karo chhāñv meñ
jo bhī aatā hai batātā hai nayā koī ilaaj
baT na jaa.e tirā bīmār masīhāoñ meñ
hausla kis meñ hai yūsuf kī ḳharīdārī kā
ab to mahñgā.ī ke charche haiñ zuleḳhāoñ meñ
jis barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
us ko dafnāo mire haath kī rekhāoñ meñ
vo ḳhudā hai kisī TuuTe hue dil meñ hogā
masjidoñ meñ use DhūñDo na kalīsāoñ meñ
ham ko aapas meñ mohabbat nahīñ karne dete
ik yahī aib hai is shahr ke dānāoñ meñ
mujh se karte haiñ 'qatīl' is liye kuchh log hasad
kyuuñ mire sher haiñ maqbūl hasīnāoñ meñ
Top Urdushayar.com