ab aur kyā kisī se marāsim baḌhā.eñ ham
ye bhī bahut hai tujh ko agar bhuul jaa.eñ ham
sahrā-e-zindagī meñ koī dūsrā na thā
sunte rahe haiñ aap hī apnī sadā.eñ ham
is zindagī meñ itnī farāġhat kise nasīb
itnā na yaad aa ki tujhe bhuul jaa.eñ ham
tū itnī dil-zada to na thī ai shab-e-firāq
aa tere rāste meñ sitāre luTā.eñ ham
vo log ab kahāñ haiñ jo kahte the kal 'farāz'
he he ḳhudā-na-karda tujhe bhī rulā.eñ ham