qurbat bhī nahīñ dil se utar bhī nahīñ jaatā
vo shaḳhs koī faisla kar bhī nahīñ jaatā
āñkheñ haiñ ki ḳhālī nahīñ rahtī haiñ lahū se
aur zaḳhm-e-judā.ī hai ki bhar bhī nahīñ jaatā
vo rāhat-e-jāñ hai magar is dar-badrī meñ
aisā hai ki ab dhyān udhar bhī nahīñ jaatā
ham dohrī aziyyat ke giraftār musāfir
paañv bhī haiñ shal shauq-e-safar bhī nahīñ jaatā
dil ko tirī chāhat pe bharosa bhī bahut hai
aur tujh se bichhaḌ jaane kā Dar bhī nahīñ jaatā
pāgal hue jaate ho 'farāz' us se mile kyā
itnī sī ḳhushī se koī mar bhī nahīñ jaatā