abhī kuchh aur karishme ġhazal ke dekhte haiñ
'farāz' ab zarā lahja badal ke dekhte haiñ
judā.iyāñ to muqaddar haiñ phir bhī jān-e-safar
kuchh aur duur zarā saath chal ke dekhte haiñ
rah-e-vafā meñ harīf-e-ḳhirām koī to ho
so apne aap se aage nikal ke dekhte haiñ
tū sāmne hai to phir kyuuñ yaqīñ nahīñ aatā
ye baar baar jo āñkhoñ ko mal ke dekhte haiñ
ye kaun log haiñ maujūd terī mahfil meñ
jo lālachoñ se tujhe mujh ko jal ke dekhte haiñ
ye qurb kyā hai ki yak-jāñ hue na duur rahe
hazār ek hī qālib meñ Dhal ke dekhte haiñ
na tujh ko maat huī hai na mujh ko maat huī
so ab ke donoñ hī chāleñ badal ke dekhte haiñ
ye kaun hai sar-e-sāhil ki Dūbne vaale
samundaroñ kī tahoñ se uchhal ke dekhte haiñ
abhī talak to na kundan hue na raakh hue
ham apnī aag meñ har roz jal ke dekhte haiñ
bahut dinoñ se nahīñ hai kuchh us kī ḳhair ḳhabar
chalo 'farāz' kū-e-yār chal ke dekhte haiñ