Ahmad Faraz

har tamashai faqat sahil se manzar dekhta

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
har tamāshā.ī faqat sāhil se manzar dekhtā
kaun dariyā ko ulaTtā kaun gauhar dekhtā
vo to duniyā ko mirī dīvāngī ḳhush aa ga.ī
tere hāthoñ meñ vagarna pahlā patthar dekhtā
aañkh meñ aañsū juḌe the par sadā tujh ko na dī
is tavaqqo.a par ki shāyad tū palaT kar dekhtā
merī qismat kī lakīreñ mere hāthoñ meñ na thiiñ
tere māthe par koī merā muqaddar dekhtā
zindagī phailī huī thī shām-e-hijrāñ kī tarah
kis ko itnā hausla thā kaun jī kar dekhtā
Dūbne vaalā thā aur sāhil pe chehroñ kā hujūm
pal kī mohlat thī maiñ kis ko aañkh bhar kar dekhtā
tū bhī dil ko ek ḳhuuñ kī buuñd samjhā hai 'farāz'
aañkh agar hotī to qatre meñ samundar dekhtā
Top Urdushayar.com