yūñhī mar mar ke ji.eñ vaqt guzāre jaa.eñ
zindagī ham tire hāthoñ se na maare jaa.eñ
ab zamīñ par koī gautam na mohammad na masīh
āsmānoñ se na.e log utāre jaa.eñ
vo jo maujūd nahīñ us kī madad chāhte haiñ
vo jo suntā hī nahīñ us ko pukāre jaa.eñ
baap larzāñ hai ki pahuñchī nahīñ bārāt ab tak
aur ham-joliyāñ dulhan ko sañvāre jaa.eñ
ham ki nādān juārī haiñ sabhī jānte haiñ
dil kī baazī ho to jī jaan se haare jaa.eñ
taj diyā tum ne dar-e-yār bhī uktā ke 'farāz'
ab kahāñ DhūñDhne ġham-ḳhvār tumhāre jaa.eñ