gumāñ yahī hai ki dil ḳhud udhar ko jaatā hai
so shak kā fā.eda us kī nazar ko jaatā hai
hadeñ vafā kī bhī āḳhir havas se miltī haiñ
ye rāsta bhī idhar se udhar ko jaatā hai
ye dil kā dard to umroñ kā rog hai pyāre
so jaa.e bhī to pahar do pahar ko jaatā hai
ye haal hai ki ka.ī rāste haiñ pesh-e-nazar
magar ḳhayāl tirī rah-guzar ko jaatā hai
tū 'anvarī' hai na 'ġhālib' to phir ye kyuuñ hai 'farāz'
har ek sail-e-balā tere ghar ko jaatā hai