Qateel Shifai

kuchh ghuncha-labon ki yaad aai kuchh gul-badanon ki yaad aai

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
kuchh ġhuncha-laboñ kī yaad aa.ī kuchh gul-badanoñ kī yaad aa.ī
jo aañkh jhapakte biit ga.iiñ un anjumanoñ kī yaad aa.ī
majrūh guloñ ke dāman meñ paivand lage haiñ ḳhushbū ke
dekhā jo bahāroñ kā ye chalan sunsān banoñ kī yaad aa.ī
thī hosh-o-ḳhirad se kis ko ġharaz arbāb-e-junūñ ke halqe meñ
jab fasl-e-bahārāñ chīḳh uThī tab pairahnoñ kī yaad aa.ī
kyā kam hai karam ye apnoñ kā pahchānñe vaalā koī nahīñ
jo des meñ bhī pardesī haiñ un ham-vatanoñ kī yaad aa.ī
shīrīñ kī adāoñ par maa.il parvez kī satvat se ḳhā.if
jo ban na sake farhād kabhī un tesha-zanoñ kī yaad aa.ī
chhāyā hai 'qatīl' akasr dil par nādīda nazāroñ kā jaadū
ham bādiya-paimā the lekin phir bhī chamanoñ kī yaad aa.ī
Top Urdushayar.com