Ahmad Faraz

guftugu achchhi lagi zauq-e-nazar achchha laga

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
guftugū achchhī lagī zauq-e-nazar achchhā lagā
muddatoñ ke baad koī ham-safar achchhā lagā
dil kā dukh jaanā to dil kā mas.ala hai par hameñ
us kā hañs denā hamāre haal par achchhā lagā
har tarah kī be-sar-o-sāmāniyoñ ke bāvajūd
aaj vo aayā to mujh ko apnā ghar achchhā lagā
bāġhbāñ gulchīñ ko chāhe jo kahe ham ko to phuul
shāḳh se baḌh kar kaf-e-dildār par achchhā lagā
koī maqtal meñ na pahuñchā kaun zālim thā jise
teġh-e-qātil se ziyāda apnā sar achchhā lagā
ham bhī qaa.el haiñ vafā meñ ustuvārī ke magar
koī pūchhe kaun kis ko umr bhar achchhā lagā
apnī apnī chāhateñ haiñ log ab jo bhī kaheñ
ik parī-paikar ko ik āshufta-sar achchhā lagā
'mīr' ke mānind aksar ziist kartā thā 'farāz'
thā to vo dīvāna sā shā.ir magar achchhā lagā
Top Urdushayar.com