sabhī kaheñ mire ġham-ḳhvār ke alāva bhī
koī to baat karūñ yaar ke alāva bhī
bahut se aise sitamgar the ab jo yaad nahīñ
kisī habīb-e-dil-āzār ke alāva bhī
ye kyā ki tum bhī sar-e-rāh haal pūchhte ho
kabhī milo hameñ bāzār ke alāva bhī
ujaaḌ ghar meñ ye ḳhushbū kahāñ se aa.ī hai
koī to hai dar-o-dīvār ke alāva bhī
so dekh kar tire ruḳhsār o lab yaqīñ aayā
ki phuul khilte haiñ gulzār ke alāva bhī
kabhī 'farāz' se aa kar milo jo vaqt mile
ye shaḳhs ḳhuub hai ash.ār ke alāva bhī