dil-girafta hī sahī bazm sajā lī jaa.e
yād-e-jānāñ se koī shaam na ḳhālī jaa.e
rafta rafta yahī zindāñ meñ badal jaate haiñ
ab kisī shahr kī buniyād na Daalī jaa.e
mus.haf-e-ruḳh hai kisī kā ki bayāz-e-hāfiz
aise chehre se kabhī faal nikālī jaa.e
vo muravvat se milā hai to jhukā duuñ gardan
mere dushman kā koī vaar na ḳhālī jaa.e
be-navā shahr kā saaya hai mire dil pe 'farāz'
kis tarah se mirī āshufta-ḳhayālī jaa.e