qurb-e-jānāñ kā na mai-ḳhāne kā mausam aayā
phir se be-sarfa ujaḌ jaane kā mausam aayā
kunj-e-ġhurbat maiñ kabhī gosha-e-zindāñ meñ the ham
jān-e-jāñ jab bhī tire aane kā mausam aayā
ab lahū rone kī ḳhvāhish na lahū hone kī
dil-e-zinda tire mar jaane kā mausam aayā
kūcha-e-yār se har fasl meñ guzre haiñ magar
shāyad ab jaañ se guzar jaane kā mausam aayā
koī zanjīr koī harf-e-ḳhirad le aayā
fasl-e-gul aa.ī ki dīvāne kā mausam aayā
sail-e-ḳhūñ shahr kī galiyoñ meñ dar aayā hai 'farāz'
aur tū ḳhush hai ki ghar jaane kā mausam aayā