karūñ na yaad magar kis tarah bhulā.ūñ use
ġhazal bahāna karūñ aur gungunā.ūñ use
vo ḳhaar ḳhaar hai shāḳh-e-gulāb kī mānind
maiñ zaḳhm zaḳhm huuñ phir bhī gale lagā.ūñ use
ye log tazkire karte haiñ apne logoñ ke
maiñ kaise baat karūñ ab kahāñ se lā.ūñ use
magar vo zūd-farāmosh zūd-ranj bhī hai
ki ruuTh jaa.e agar yaad kuchh dilā.ūñ use
vahī jo daulat-e-dil hai vahī jo rāhat-e-jāñ
tumhārī baat pe ai nāseho gañvā.ūñ use
jo ham-safar sar-e-manzil bichhaḌ rahā hai 'farāz'
ajab nahīñ hai agar yaad bhī na aa.uuñ use