Ahmad Faraz

hum to yun KHush the ki ek tar gareban mein hai

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
ham to yuuñ ḳhush the ki ik taar garebān meñ hai
kyā ḳhabar thī ki bahār is ke bhī armān meñ hai
ek zarb aur bhī ai zindagī-e-tesha-ba-dast
saañs lene kī sakat ab bhī mirī jaan meñ hai
maiñ tujhe kho ke bhī zinda huuñ ye dekhā tū ne
kis qadar hausla haare hue insān meñ hai
fāsle qurb ke sho.aloñ ko havā dete haiñ
meñ tire shahr se duur aur tū mire dhyān meñ hai
sar-e-dīvār farozāñ hai abhī ek charāġh
ai nasīm-e-saharī kuchh tire imkān meñ hai
dil dhaḌakne kī sadā aatī hai gāhe-gāhe
jaise ab bhī tirī āvāz mire kaan meñ hai
ḳhilqat-e-shahr ke har zulm ke bā-vasf 'farāz'
haa.e vo haath ki apne hī garebān meñ hai
Top Urdushayar.com