har koī turra-e-pechāk pahan kar niklā
ek maiñ pairahan-e-ḳhāk pahan kar niklā
aur phir sab ne ye dekhā ki isī maqtal se
merā qātil mirī poshāk pahan kar niklā
ek banda thā ki oḌhe thā ḳhudā.ī saarī
ik sitāra thā ki aflāk pahan kar niklā
aisī nafrat thī ki is shahr ko jab aag lagī
har bagūla ḳhas-o-ḳhāshāk pahan kar niklā
tarkash o daam abas le ke chalā hai sayyād
jo bhī naḳhchīr hai fitrāk pahan kar niklā
us ke qāmat se use jaan ga.e log 'farāz'
jo labāda bhī vo chālāk pahan kar niklā