gila fuzūl thā ahd-e-vafā ke hote hue
so chup rahā sitam-e-nā-ravā ke hote hue
ye qurbatoñ meñ ajab fāsle paḌe ki mujhe
hai āshnā kī talab āshnā ke hote hue
vo hīla-gar haiñ jo majbūriyāñ shumār kareñ
charāġh ham ne jalā.e havā ke hote hue
na chāhne pe bhī tujh ko ḳhudā se maañg liyā
ye haal hai dil-e-be-mudda.ā ke hote hue
na kar kisī pe bharosa ki kashtiyāñ Dūbeñ
ḳhudā ke hote hue nāḳhudā ke hote hue
magar ye ahl-e-riyā kis qadar barahna haiñ
galīm o dalq o abā o qabā ke hote hue
kise ḳhabar hai ki kāsa-ba-dast phirte haiñ
bahut se log saroñ par humā ke hote hue
'farāz' aise bhī lamhe kabhī kabhī aa.e
ki dil-girafta rahe dilrubā ke hote hue