vafā ke baab meñ ilzām-e-āshiqī na liyā
ki terī baat kī aur terā naam bhī na liyā
ḳhushā vo log ki mahrūm-e-iltifāt rahe
tire karam ko ba-andāz-e-sādgī na liyā
tumhāre baad ka.ī haath dil kī samt baḌhe
hazār shukr garebāñ ko ham ne sī na liyā
tamām mastī o tishna-labī ke hañgāme
kisī ne sañg uThāyā kisī ne miinā liyā
'farāz' zulm hai itnī ḳhud-e'timādī bhī
ki raat bhī thī añdherī charāġh bhī na liyā