Ahmad Faraz

tha abas tark-e-talluq ka irada yun bhi

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
thā abas tark-e-ta.alluq kā irāda yuuñ bhī
ishq zinda nahīñ rahtā hai ziyāda yuuñ bhī
ik to in āñkhoñ meñ nashsha thā balā kā us par
ham ko marġhūb hai kaifiyyat-e-bāda yuuñ bhī
nāma-bar us se na ahvāl hamārā kahnā
vo tunuk-ḳhū hai bigaḌ jaa.e mabādā yuuñ bhī
so ga.e ham bhī ki be-kār thā rasta taknā
us ko aanā hī nahīñ thā shab-e-va.ada yuuñ bhī
kuchh to vo husn pashemāñ hai jafā par apnī
aur kuchh us ke liye dil thā kushāda yuuñ bhī
kuuch kar jaate haiñ ham kū-e-mohabbat se 'farāz'
in dinoñ chāk-e-garebāñ haiñ ziyāda yuuñ bhī
Top Urdushayar.com