Ahmad Faraz

kyun na hum ahd-e-rifaqat ko bhulane lag jaen

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
kyuuñ na ham ahd-e-rifāqat ko bhulāne lag jaa.eñ
shāyad is zaḳhm ko bharne meñ zamāne lag jaa.eñ
nahīñ aisā bhī ki ik umr kī qurbat ke nashe
ek do roz kī ranjish se Thikāne lag jaa.eñ
yahī nāseh jo hameñ tujh se na milne ko kaheñ
tujh ko dekheñ to tujhe dekhne aane lag jaa.eñ
ham ki haiñ lazzat-e-āzār ke maare hue log
chāragar aa.eñ to zaḳhmoñ ko chhupāne lag jaa.eñ
rabt ke saiñkaḌoñ hiile haiñ mohabbat na sahī
ham tire saath kisī aur bahāne lag jaa.eñ
sāqiyā masjid o maktab to nahīñ mai-ḳhāna
dekhnā phir bhī ġhalat log na aane lag jaa.eñ
qurb achchhā hai magar itnī bhī shiddat se na mil
ye na ho tujh ko mire rog purāne lag jaa.eñ
ab 'farāz' aao chaleñ apne qabīle kī taraf
shā.irī tark kareñ bojh uThāne lag jaa.eñ
Top Urdushayar.com