Qateel Shifai

sadme jhelun jaan pe khelun us se mujhe inkar nahin hai

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
sadme jhelūñ jaan pe khelūñ us se mujhe inkār nahīñ hai
lekin tire paas vafā kā koī bhī me.aar nahīñ hai
ye bhī koī baat hai āḳhir duur hī duur raheñ matvāle
harjā.ī hai chāñd kā joban yā panchhī ko pyaar nahīñ hai
ek zarā sā dil hai jis ko toḌ ke bhī tum jā sakte ho
ye sone kā tauq nahīñ ye chāñdī kī dīvār nahīñ hai
mallāhoñ ne sāhil sāhil maujoñ kī tauhīn to kar dī
lekin phir bhī koī bhañvar tak jaane ko tayyār nahīñ hai
phir bhī vahī sailāb-e-havādis jaane do ai sāhil vaalo
yā is baar safīna Duubā yā us ke mañjdhār nahīñ hai
qaid-e-qafas ke ba.ad karegā qaid-e-gulistāñ kaun gavārā
ab bhī vahī zanjīreñ haiñ go pahlī sī jhankār nahīñ hai
Top Urdushayar.com