Ahmad Faraz

ghanim se bhi adawat mein had nahin mangi

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
ġhanīm se bhī adāvat meñ had nahīñ māñgī
ki haar maan lī lekin madad nahīñ māñgī
hazār shukr ki ham ahl-e-harf-e-zindā ne
mujāvirān-e-adab se sanad nahīñ māñgī
bahut hai lamha-e-maujūd kā sharaf bhī mujhe
so apne fan se baqā-e-abad nahīñ māñgī
qubūl vo jise kartā vo iltijā nahīñ kī
duā jo vo na kare mustarad nahīñ māñgī
maiñ apne jāma-e-sad-chāk se bahut ḳhush huuñ
kabhī abā-o-qabā-e-ḳhirad nahīñ māñgī
shahīd jism salāmat uThā.e jaate haiñ
jabhī to gor-kanoñ se lahad nahīñ māñgī
maiñ sar-barahna rahā phir bhī sar-kashīda rahā
kabhī kulāh se tauqīr-e-qad nahīñ māñgī
atā-e-dard meñ vo bhī nahīñ thā dil kā ġharīb
'farāz' maiñ ne bhī baḳhshish meñ had nahīñ māñgī
Top Urdushayar.com