ye be-dilī hai to kashtī se yaar kyā utreñ
udhar bhī kaun hai dariyā ke paar kyā utreñ
tamām daulat-e-jāñ haar dī mohabbat meñ
jo zindagī se liye the udhār kyā utreñ
hazār jaam se Takrā ke jaam ḳhālī hoñ
jo aa ga.e haiñ diloñ meñ ġhubār kyā utreñ
basān-e-ḳhāk sar-e-kū-e-yār baiThe haiñ
ab is maqām se ham ḳhāksār kyā utreñ
na itr o uud na jaam o subū na saaz o surūr
faqīr-e-shahr ke ghar shahryār kyā utreñ
hameñ majāl nahīñ hai ki baam tak pahuñcheñ
unheñ ye aar sar-e-rahguzār kyā utreñ
jo zaḳhm daaġh bane haiñ vo bhar ga.e the 'farāz'
jo daaġh zaḳhm bane haiñ vo yaar kyā utreñ