Ahmad Faraz

hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
huī hai shaam to āñkhoñ meñ bas gayā phir tū
kahāñ gayā hai mire shahr ke musāfir tū
mirī misāl ki ik naḳhl-e-ḳhushk-e-sahrā huuñ
tirā ḳhayāl ki shāḳh-e-chaman kā taa.ir tū
maiñ jāntā huuñ ki duniyā tujhe badal degī
maiñ māntā huuñ ki aisā nahīñ ba-zāhir tū
hañsī-ḳhushī se bichhaḌ jā agar bichhaḌnā hai
ye har maqām pe kyā sochtā hai āḳhir tū
fazā udaas hai rut muzmahil hai maiñ chup huuñ
jo ho sake to chalā aa kisī kī ḳhātir tū
'farāz' tū ne use mushkiloñ meñ Daal diyā
zamāna sāhab-e-zar aur sirf shā.er tū
Top Urdushayar.com