pech rakhte ho bahut sāhibo dastār ke biich
ham ne sar girte hue dekhe haiñ bāzār ke biich
bāġhbānoñ ko ajab rañj se takte haiñ gulāb
gul-farosh aaj bahut jamā haiñ gulzār ke biich
qātil is shahr kā jab baañT rahā thā mansab
ek darvesh bhī dekhā usī darbār ke biich
kaj-adāoñ kī ināyat hai ki ham se ushshāq
kabhī dīvār ke pīchhe kabhī dīvār ke biich
tum ho nā-ḳhush to yahāñ kaun hai ḳhush phir bhī 'farāz'
log rahte haiñ isī shahr-e-dil-āzār ke biich