ye baat phir mujhe sūraj batāne aayā hai
azal se mere ta.āqub meñ merā saayā hai
buland hotī chalī jā rahī haiñ dīvāreñ
asīr-e-dar hai vo jis ne mujhe bulāyā hai
maiñ lā-zavāl thā miT miT ke phir ubhartā rahā
gañvā gañvā ke mujhe zindagī ne paayā hai
vo jis ke nain haiñ gahre samundaroñ jaise
vo apnī zaat meñ mujh ko Dubone aayā hai
milī hai us ko bhī shohrat 'qatīl' merī tarah
jab us ne apne laboñ par mujhe sajāyā hai