us ne sukūt-e-shab meñ bhī apnā payām rakh diyā
hijr kī raat baam par māh-e-tamām rakh diyā
āmad-e-dost kī naved kū-e-vafā meñ aam thī
maiñ ne bhī ik charāġh sā dil sar-e-shām rakh diyā
shiddat-e-tishnagī meñ bhī ġhairat-e-mai-kashī rahī
us ne jo pher lī nazar maiñ ne bhī jaam rakh diyā
us ne nazar nazar meñ hī aise bhale suḳhan kahe
maiñ ne to us ke paañv meñ saarā kalām rakh diyā
dekho ye mere ḳhvāb the dekho ye mere zaḳhm haiñ
maiñ ne to sab hisāb-e-jāñ bar-sar-e-ām rakh diyā
ab ke bahār ne bhī kiiñ aisī sharārteñ ki bas
kabk-e-darī kī chaal meñ terā ḳhirām rakh diyā
jo bhī milā usī kā dil halqa-ba-gosh-e-yār thā
us ne to saare shahr ko kar ke ġhulām rakh diyā
aur 'farāz' chāhiyeñ kitnī mohabbateñ tujhe
maaoñ ne tere naam par bachchoñ kā naam rakh diyā