na sah sakā jab masāfatoñ ke azaab saare
to kar ga.e kuuch merī āñkhoñ se ḳhvāb saare
bayāz-e-dil par ġhazal kī sūrat raqam kiye haiñ
tire karam bhī tire sitam bhī hisāb saare
bahār aa.ī hai tum bhī aao idhar se guzro
ki dekhnā chāhte haiñ tum ko gulāb saare
ye sāneha hai ki vā.izoñ se ulajh paḌe ham
ye vāqi.a hai ki pī rahe the sharāb saare
bhalā huā ham gunāhgāroñ ne zid nahīñ kī
sameT kar le gayā hai nāseh savāb saare
'farāz' kis ne mire muqaddar meñ likh diye haiñ
bas ek dariyā kī dostī meñ sarāb saare