Ahmad Faraz

ajab junun-e-masafat mein ghar se nikla tha

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
ajab junūn-e-masāfat meñ ghar se niklā thā
ḳhabar nahīñ hai ki sūraj kidhar se niklā thā
ye kaun phir se unhīñ rāstoñ meñ chhoḌ gayā
abhī abhī to azāb-e-safar se niklā thā
ye tiir dil meñ magar be-sabab nahīñ utrā
koī to harf lab-e-chāragar se niklā thā
ye ab jo aag banā shahr shahr phailā hai
yahī dhuāñ mire dīvār-o-dar se niklā thā
maiñ raat TuuT ke royā to chain se soyā
ki dil kā zahr mirī chashm-e-tar se niklā thā
ye ab jo sar haiñ ḳhamīda kulāh kī ḳhātir
ye aib bhī to ham ahl-e-hunar se niklā thā
vo qais ab jise majnūñ pukārte haiñ 'farāz'
tirī tarah koī dīvāna ghar se niklā thā
Top Urdushayar.com