us ko judā hue bhī zamāna bahut huā
ab kyā kaheñ ye qissa purānā bahut huā
Dhaltī na thī kisī bhī jatan se shab-e-firāq
ai marg-e-nā-gahāñ tirā aanā bahut huā
ham ḳhuld se nikal to ga.e haiñ par ai ḳhudā
itne se vāqiye kā fasāna bahut huā
ab ham haiñ aur saare zamāne kī dushmanī
us se zarā sā rabt baḌhānā bahut huā
ab kyuuñ na zindagī pe mohabbat ko vaar deñ
is āshiqī meñ jaan se jaanā bahut huā
ab tak to dil kā dil se ta.āruf na ho sakā
maanā ki us se milnā milānā bahut huā
kyā kyā na ham ḳharāb hue haiñ magar ye dil
ai yād-e-yār terā Thikāna bahut huā
kahtā thā nāsehoñ se mire muñh na aa.iyo
phir kyā thā ek hū kā bahāna bahut huā
lo phir tire laboñ pe usī bevafā kā zikr
ahmad-'farāz' tujh se kahā na bahut huā