kal ham ne bazm-e-yār meñ kyā kyā sharāb pī
sahrā kī tishnagī thī so dariyā sharāb pī
apnoñ ne taj diyā hai to ġhairoñ meñ jā ke baiTh
ai ḳhānumāñ-ḳharāb na tanhā sharāb pī
tū ham-safar nahīñ hai to kyā sair-e-gulistāñ
to ham-subū nahīñ hai to phir kyā sharāb pī
ai dil-girafta-e-ġham-e-jānāñ subū uThā
ai kushta-e-jafā-e-zamāna sharāb pī
ik mehrbāñ buzurg ne ye mashvara diyā
dukh kā koī ilaaj nahīñ jā sharāb pī
bādal garaj rahā thā idhar mohtasib udhar
phir jab talak ye uqda na suljhā sharāb pī
ai tū ki tere dar pe haiñ rindoñ ke jamghaTe
ik roz us faqīr ke ghar aa sharāb pī
do jaam un ke naam bhī ai pīr-e-mai-kada
jin raftagāñ ke saath hamesha sharāb pī
kal ham se apnā yaar ḳhafā ho gayā 'farāz'
shāyad ki ham ne had se ziyāda sharāb pī