sab qarīne usī dildār ke rakh dete haiñ
ham ġhazal meñ bhī hunar yaar ke rakh dete haiñ
shāyad aa jaa.eñ kabhī chashm-e-ḳharīdār meñ ham
jaan o dil biich meñ bāzār ke rakh dete haiñ
taaki ta.ana na mile ham ko tunuk-zarfī kā
ham qadah sāmne aġhyār ke rakh dete haiñ
ab kise ranj-e-asīrī ki qafas meñ sayyād
saare manzar gul-o-gulzār ke rakh dete haiñ
zikr-e-jānāñ meñ ye duniyā ko kahāñ le aa.e
log kyuuñ mas.ale bekār ke rakh dete haiñ
vaqt vo rañg dikhātā hai ki ahl-e-dil bhī
tāq-e-nisyāñ pe suḳhan yaar ke rakh dete haiñ
zindagī terī amānat hai magar kyā kiije
log ye bojh bhī thak-hār ke rakh dete haiñ
ham to chāhat meñ bhī 'ġhālib' ke muqallid haiñ 'farāz'
jis pe marte haiñ use maar ke rakh dete haiñ