Ahmad Faraz

tere qarib aa ke baDi uljhanon mein hun

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
tere qarīb aa ke baḌī uljhanoñ meñ huuñ
maiñ dushmanoñ meñ huuñ ki tire dostoñ meñ huuñ
mujh se gurez-pā hai to har rāsta badal
maiñ sañg-e-rāh huuñ to sabhī rāstoñ meñ huuñ
tū aa chukā hai sat.h pe kab se ḳhabar nahīñ
bedard maiñ abhī unhīñ gahrā.iyoñ meñ huuñ
ai yār-e-ḳhush-dayār tujhe kyā ḳhabar ki maiñ
kab se udāsiyoñ ke ghane jañgaloñ meñ huuñ
tū luuT kar bhī ahl-e-tamannā ko ḳhush nahīñ
yaañ luT ke bhī vafā ke inhī qāfiloñ meñ huuñ
badlā na mere baad bhī mauzū-e-guftugū
maiñ jā chukā huuñ phir bhī tirī mahfiloñ meñ huuñ
mujh se bichhaḌ ke tū bhī to ro.egā umr bhar
ye soch le ki maiñ bhī tirī ḳhvāhishoñ meñ huuñ
tū hañs rahā hai mujh pe mirā haal dekh kar
aur phir bhī maiñ sharīk tire qahqahoñ meñ huuñ
ḳhud hī misāl-e-lāla-e-sahrā lahū lahū
aur ḳhud 'farāz' apne tamāshā.iyoñ meñ huuñ
Top Urdushayar.com