Ahmad Faraz

wahshat-e-dil sila-e-abla-pai le le

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
vahshat-e-dil sila-e-ābla-pā.ī le le
mujh se yā-rab mire lafzoñ kī kamā.ī le le
aql har baar dikhātī thī jale haath apne
dil ne har baar kahā aag parā.ī le le
maiñ to us sub.h-e-daraḳhshāñ ko tavañgar jānūñ
jo mire shahr se kashkol-e-gadā.ī le le
tū ġhanī hai magar itnī haiñ sharā.it terī
vo mohabbat jo hameñ raas na aa.ī le le
aisā nādān ḳharīdār bhī koī hogā
jo tire ġham ke evaz saarī ḳhudā.ī le le
apne dīvān ko galiyoñ meñ liye phirtā huuñ
hai koī jo hunar-e-zaḳhm-numā.ī le le
merī ḳhātir na sahī apnī anā kī ḳhātir
apne bandoñ se to pindār-e-ḳhudā.ī le le
aur kyā nazr karūñ ai ġham-e-dildār-e-farāz
zindagī jo ġham-e-duniyā se bachā.ī le le
Top Urdushayar.com