terī bāteñ hī sunāne aa.e
dost bhī dil hī dukhāne aa.e
phuul khilte haiñ to ham sochte haiñ
tere aane ke zamāne aa.e
aisī kuchh chup sī lagī hai jaise
ham tujhe haal sunāne aa.e
ishq tanhā hai sar-e-manzil-e-ġham
kaun ye bojh uThāne aa.e
ajnabī dost hameñ dekh ki ham
kuchh tujhe yaad dilāne aa.e
dil dhaḌaktā hai safar ke hañgām
kaash phir koī bulāne aa.e
ab to rone se bhī dil dukhtā hai
shāyad ab hosh Thikāne aa.e
kyā kahīñ phir koī bastī ujḌī
log kyuuñ jashn manāne aa.e
so raho maut ke pahlū meñ 'farāz'
niiñd kis vaqt na jaane aa.e