Ahmad Faraz

ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
ishq nashsha hai na jaadū jo utar bhī jaa.e
ye to ik sail-e-balā hai so guzar bhī jaa.e
talḳhī-e-kām-o-dahan kab se azāb-e-jāñ hai
ab to ye zahr rag o pai meñ utar bhī jaa.e
ab ke jis dasht-e-tamannā meñ qadam rakkhā hai
dil to kyā chiiz hai imkāñ hai ki sar bhī jaa.e
ham bagūloñ kī tarah ḳhāk-basar phirte haiñ
paañv shal hoñ to ye āshob-e-safar bhī jaa.e
luT chuke ishq meñ ik baar to phir ishq karo
kis ko mālūm ki taqdīr sañvar bhī jaa.e
shahr-e-jānāñ se pare bhī ka.ī duniyā.eñ haiñ
hai koī aisā musāfir jo udhar bhī jaa.e
is qadar qurb ke baad aise judā ho jaanā
koī kam-hausla insāñ ho to mar bhī jaa.e
ek muddat se muqaddar hai ġharīb-ul-vatanī
koī pardes meñ nā-ḳhush ho to ghar bhī jaa.e
Top Urdushayar.com