jo ġhair the vo isī baat par hamāre hue
ki ham se dost bahut be-ḳhabar hamāre hue
kise ḳhabar vo mohabbat thī yā raqābat thī
bahut se log tujhe dekh kar hamāre hue
ab ik hujūm-e-shikasta-dilāñ hai saath apne
jinheñ koī na milā ham-safar hamāre hue
kisī ne ġham to kisī ne mizāj-e-ġham baḳhshā
sab apnī apnī jagah chāragar hamāre hue
bujhā ke taaq kī sham.eñ na dekh tāroñ ko
isī junūñ meñ to barbād ghar hamāre hue
vo e'timād kahāñ se 'farāz' lā.eñge
kisī ko chhoḌ ke vo ab agar hamāre hue