tum pūchho aur maiñ na batā.ūñ aise to hālāt nahīñ
ek zarā sā dil TuuTā hai aur to koī baat nahīñ
kis ko ḳhabar thī sāñvle bādal bin barse uḌ jaate haiñ
sāvan aayā lekin apnī qismat meñ barsāt nahīñ
TuuT gayā jab dil to phir ye saañs kā naġhma kyā ma.anī
guuñj rahī hai kyuuñ shahnā.ī jab koī bārāt nahīñ
ġham ke añdhiyāre meñ tujh ko apnā sāthī kyuuñ samjhūñ
tū phir tū hai merā to saaya bhī mere saath nahīñ
maanā jīvan meñ aurat ik baar mohabbat kartī hai
lekin mujh ko ye to batā de kyā tū aurat zaat nahīñ
ḳhatm huā merā fasāna ab ye aañsū poñchh bhī lo
jis meñ koī taarā chamke aaj kī raat vo raat nahīñ
mere ġhamgīñ hone par ahbāb haiñ yuuñ hairān 'qatīl'
jaise maiñ patthar huuñ mere siine meñ jazbāt nahīñ