jānāñ dil kā shahr nagar afsos kā hai
terā merā saarā safar afsos kā hai
kis chāhat se zahr-e-tamannā māñgā thā
aur ab hāthoñ meñ sāġhar afsos kā hai
ik dahlīz pe jā kar dil-ḳhush hotā thā
ab to shahr meñ har ik dar afsos kā hai
ham ne ishq gunāh se bartar jaanā thā
aur dil par pahlā patthar afsos kā hai
qurbat ke us peḌ kī shāḳhoñ par dekho
phuul udāsī kā hai samar afsos kā hai
haar ke dukh se pachhtāvā baḌh kar hai 'farāz'
dukh kā nahīñ afsos magar afsos kā hai