taras rahā huuñ magar tū nazar na aa mujh ko
ki ḳhud judā hai tū mujh se na kar judā mujh ko
vo kapkapāte hue hoñT mere shāne par
vo ḳhvāb saañp kī mānind Das gayā mujh ko
chaTaḳh uThā ho sulagtī chaTān kī sūrat
pukār ab tū mire der-āshnā mujh ko
tujhe tarāsh ke maiñ saḳht munfa.il huuñ ki log
tujhe sanam to samajhne lage ḳhudā mujh ko
ye aur baat ki aksar damak uThā chehra
kabhī kabhī yahī sho.ala bujhā gayā mujh ko
ye qurbateñ hī to vaj.h-e-firāq Thahrī haiñ
bahut aziiz haiñ yārān-e-be-vafā mujh ko
sitam to ye hai ki zālim suḳhan-shanās nahīñ
vo ek shaḳhs ki shā.er banā gayā mujh ko
use 'farāz' agar dukh na thā bichhaḌne kā
to kyuuñ vo duur talak dekhtā rahā mujh ko