Ahmad Faraz

rog aise bhi gham-e-yar se lag jate hain

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
rog aise bhī ġham-e-yār se lag jaate haiñ
dar se uThte haiñ to dīvār se lag jaate haiñ
ishq āġhāz meñ halkī sī ḳhalish rakhtā hai
baad meñ saikḌoñ āzār se lag jaate haiñ
pahle pahle havas ik-ādh dukāñ kholtī hai
phir to bāzār ke bāzār se lag jaate haiñ
bebasī bhī kabhī qurbat kā sabab bantī hai
ro na paa.eñ to gale yaar se lag jaate haiñ
katraneñ ġham kī jo galiyoñ meñ uḌī phirtī haiñ
ghar meñ le aao to ambār se lag jaate haiñ
daaġh dāman ke hoñ dil ke hoñ ki chehre ke 'farāz'
kuchh nishāñ umr kī raftār se lag jaate haiñ
Top Urdushayar.com