ye tabī.at hai to ḳhud āzār ban jā.eñge ham
chāragar ro.eñge aur ġham-ḳhvār ban jā.eñge ham
ham sar-e-chāk-e-vafā haiñ aur tirā dast-e-hunar
jo banā degā hameñ ai yaar ban jā.eñge ham
kyā ḳhabar thī ai nigār-e-sher tere ishq meñ
dilbarān-e-shahr ke dildār ban jā.eñge ham
saḳht-jāñ haiñ par hamārī ustuvārī par na jā
aise TūTeñge tirā iqrār ban jā.eñge ham
aur kuchh din baiThne do kū-e-jānāñ meñ hameñ
rafta rafta sāya-e-dīvār ban jā.eñge ham
is qadar āsāñ na hogī har kisī se dostī
āshnā.ī meñ tirā me.aar ban jā.eñge ham
'mīr' o 'ġhālib' kyā ki ban paa.e nahīñ 'faiz' o 'firāq'
zo.am ye thā 'rūmī' o 'attār' ban jā.eñge ham