kisī jānib se bhī parcham na lahū kā niklā
ab ke mausam meñ bhī aalam vahī hū kā niklā
dast-e-qātil se kuchh ummīd-e-shafā thī lekin
nok-e-ḳhanjar se bhī kāñTā na gulū kā niklā
ishq ilzām lagātā thā havas par kyā kyā
ye munāfiq bhī tire vasl kā bhūkā niklā
jī nahīñ chāhtā mai-ḳhāne ko jaa.eñ jab se
shaiḳh bhī bazm-nashīñ ahl-e-subū kā niklā
dil ko ham chhoḌ ke duniyā kī taraf aa.e the
ye shabistāñ bhī isī ġhāliya-mū kā niklā
ham abas sozan-o-rishta liye galiyoñ meñ phire
kisī dil meñ na koī kaam rafū kā niklā
yār-e-be-faiz se kyuuñ ham ko tavaqqo thī 'farāz'
jo na apnā na hamārā na adū kā niklā