chale the yaar baḌe zo.am meñ havā kī tarah
palaT ke dekhā to baiThe haiñ naqsh-e-pā kī tarah
mujhe vafā kī talab hai magar har ik se nahīñ
koī mile magar us yār-e-bevafā kī tarah
mire vajūd kā sahrā hai muntazir kab se
kabhī to aa jaras-e-ġhuncha kī sadā kī tarah
vo ajnabī thā to kyuuñ mujh se pher kar āñkheñ
guzar gayā kisī derīna āshnā kī tarah
kashāñ kashāñ liye jaatī hai jānib-e-manzil
nafas kī Dor bhī zanjīr-e-be-sadā kī tarah
'farāz' kis ke sitam kā gilā kareñ kis se
ki be-niyāz huī ḳhalq bhī ḳhudā kī tarah