Ahmad Faraz

nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha

Ahmad Faraz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1931-2008
nauhagaroñ meñ dīda-e-tar bhī usī kā thā
mujh par ye zulm bār-e-digar bhī usī kā thā
dekhā mujhe to tark-e-ta.alluq ke bāvajūd
vo muskurā diyā ye hunar bhī usī kā thā
āñkheñ kushād-o-bast se badnām ho ga.iiñ
sūraj usī kā ḳhvāb-e-sahar bhī usī kā thā
ḳhanjar-dar-āstīñ hī milā jab kabhī milā
vo teġh khīñchtā to ye sar bhī usī kā thā
nishtar chubhe hue the rag-e-jāñ ke ās-pās
vo chāragar thā aur mujhe Dar bhī usī kā thā
mahfil meñ kal 'farāz' hī shāyad thā lab-kushā
maqtal meñ aaj kāsa-e-sar bhī usī kā thā
Top Urdushayar.com